Yes or no ?
ek baar ek kachari mein ek gawah kaafi lambe-lambe bayaan de raha tha. sarkaari vakeel naraaz ho gaya.
vo thoda gusse se gawah ko bolta hai: itna jyada biolne ki zaroorat nahin hai. tumse jo bhi poocha jaye uska jawaab sirf haan ya na mein do.
gawah: huzoor, har sawaal ka jawaab haan ya naa mein nahin diya ja sakta.
vakeel: bilkul diya ja sakta hai. tum mujhse kuch bhi pucho mein sirf haan ya naa mein jwaab dekar dikhata hun.
gawah: theek hai huzoor, aapki zid pe mein apse ek sawaal puchta hun. aap sirf haan ya naa mein jawaab dena.
vakeel: theek hai, pucho.
gawah: huzoor, kya aapki biwi ne apko peetna band kar diya hai ?
vakeel abhi tak behosh hai.
Posted By: Menka in Entertainment Jokes
Rate This Joke and Read Next |
Terrible |
Hilarious |